SEARCH RESULTS
Showing search results for "filter"
Sher MATCHES FOR "filter"
Sher
terii suurat se kisii kii nahii.n miltii suurat
ham jahaa.n me.n tirii tasviir liye phirte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ab udaas phirte ho sardiyo.n kii shaamo.n me.n
is tarah to hotaa hai is tarah ke kaamo.n me.n
Shoaib Bin Aziz
Sher
kho diyaa tum ko to ham puuchhte phirte hai.n yahii
jis kii taqdiir biga.D jaa.e vo kartaa kyaa hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
saath baarish me.n liye phirte ho us ko 'anjum'
tum ne is shahr me.n kyaa aag lagaanii hai ko.ii
Anjum Saleemi
Sher
phirte hai.n 'miir' KHvaar ko.ii puuchhtaa nahii.n
is aashiqii me.n izzat-e-saadaat bhii ga.ii
Meer Taqi Meer
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche
Bedil Haidri
Sher
ye jo milaate phirte ho tum har kisii se haath
aisaa na ho ki dhonaa pa.De zindagii se haath
Javed Saba
Sher
tum saada-mizaajii se miTe phirte ho jis par
vo shaKHs to duniyaa me.n kisii kaa bhii nahii.n hai
Ehsan Danish
Sher
vo chaa.ndnii me.n phirte hai.n ghar ghar ye shor hai
niklaa hai aaftaab shab-e-maahtaab me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
luT ga.e ek hii a.ng.Daa.ii me.n aisaa bhii hu.aa
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyaar bahut