SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaame"
Sher MATCHES FOR "gaame"
Sher
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Gam-e-hayaat ne aavaara kar diyaa varna
thii aarzuu ki tire dar pe sub.h o shaam kare.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
Gam-e-zamaana ne majbuur kar diyaa varna
ye aarzuu thii ki bas terii aarzuu karte
Akhtar Shirani
Sher
kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.n
kab tak ko.ii uljhii hu.ii zulfo.n ko sa.nvaare
Habib Jalib
Sher
ilaahii ek Gam-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
Nushur Wahidi
Sher
dil bujhne lagaa aatish-e-ruKHsaar ke hote
tanhaa nazar aate hai.n Gam-e-yaar ke hote
Zehra Nigaah
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Allama Iqbal
Sher
ishq phir ishq hai jis ruup me.n jis bhes me.n ho
ishrat-e-vasl bane yaa Gam-e-hijraa.n ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
Hasrat Mohani
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
Gam-e-firaaq ko siine se lag ke sone do
shab-e-taviil kii hogii sahar kabhii na kabhii
Karamat Ali Karamat
Sher
vo bhalaa kaise bataa.e ki Gam-e-hijr hai kyaa
jis ko aaGosh-e-mohabbat kabhii haasil na hu.aa