SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaazii"
Sher MATCHES FOR "gaazii"
Sher
mai.n kisii haal me.n maayuus nahii.n ho saktaa
zulmate.n laakh ho.n ummiid-e-sahar rakhtaa huu.n
Naeem Ghazi
Sher
haq-bayaanii kii kaisii KHataa ho ga.ii
mujh se saarii KHudaa.ii KHafaa ho ga.ii
Mohammad Aslam Ghazi
Sher
maajhii ne Duboyaa hai lahro.n ne uchhaalaa hai
gardish ke samundar kaa dastuur niraalaa hai
Shahid Ghazi
Sher
sayyad kii sarguzisht ko haalii se puuchhiye
Gaazii miyaa.n kaa haal Dafaalii se puuchhiye
Akbar Allahabadi
Sher
Shahid Ghazi
Sher
mufliso.n kii bastii ko bekasii ne gheraa hai
har taraf udaasii hai zulmato.n kaa Deraa hai
Shahid Ghazi
Sher
bhalaa hu.aa ki na haath aayaa jaama-e-pur-zar
gazii ke kap.De badalte to ham badal jaate
Imdad Ali Bahr
Sher
sau diye jalaa.e hai.n dosto.n ke aa.ngan me.n
phir bhii mere aa.ngan me.n har taraf a.ndheraa hai
Shahid Ghazi
Sher
zulm sah ke bhii mai.n ne ho.nT sii liye 'Gaazii'
ek zarf un kaa hai ek zarf meraa hai
Shahid Ghazi
Sher
Shahid Ghazi
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
husn ke samajhne ko umr chaahiye jaanaa.n
do gha.Dii kii chaahat me.n la.Dkiyaa.n nahii.n khultii.n