SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaddaar"
Sher MATCHES FOR "gaddaar"
Sher
raushnii baa.nTtaa huu.n sarhado.n ke paar bhii mai.n
ham-vatan is liye Gaddaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
Dr. Azam
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
abhii na chhe.D mohabbat ke giit ai mutrib
abhii hayaat kaa maahaul KHush-gavaar nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
rahtii hai saath saath ko.ii KHush-gavaar yaad
tujh se bichha.D ke terii rifaaqat ga.ii nahii.n
Khalid Iqbal Yasir
Sher
kab se Tahal rahe hai.n garebaan khol kar
KHaalii ghaTaa ko kyaa kare.n barsaat bhii to ho
Adil Mansuri
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
yaaro ye daur zof-e-basaarat kaa daur hai
aa.ndhii uThe to us ko ghaTaa kah liyaa karo
Qateel Shifai
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
maan mausam kaa kahaa chhaa.ii ghaTaa jaam uThaa
aag se aag bujhaa phuul khilaa jaam uThaa
Bashir Badr
Sher
na hogaa raa.egaa.n KHuun-e-shahiidaan-e-vatan hargiz
yahii surKHii banegii ek din unvaan-e-aazaadii