SEARCH RESULTS
Showing search results for "gair-e-haq"
Sher MATCHES FOR "gair-e-haq"
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
gar shaiKH azm-e-manzil-e-haq hai to aa idhar
hai dil kii raah siidhii va ka.abe kii raah kaj
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
zaahid umiid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharaab pii ke gunaah-gaar bhii to ho
Ameer Minai
Sher
ham me.n hii aalam-e-akbar hu.e go jurm-e-saGiir
maz.har-e-jalva-e-haq hazrat-e-insaa.n hai.n ham
Meer Hasan
Sher
Mirza Ghalib
Sher
har-chand ho mushaahida-e-haq kii guftuguu
bantii nahii.n hai baada-o-saaGar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
raaz-e-haq faash hu.aa mujh pe bhii hote hote
KHud tak aa hii gayaa 'irfaan' bhaTaktaa hu.aa mai.n
Irfan Sattar
Sher
rahmat-e-haq ko na kar maayuus apne fe.al se
vo bhalaa.ii me.n nahii.n jo hai buraa.ii me.n mazaa
Nadir Shahjahanpuri
Sher
insaan to hai suurat-e-haq ka.abe me.n kyaa hai
ai shaiKH bhalaa kyuu.n na karuu.n sajde butaa.n ko
Joshish Azimabadi
Sher
ham aise ahl-e-nazar ko subuut-e-haq ke liye
agar rasuul na hote to sub.h kaafii thii
Josh Malihabadi
Sher
zaahid sabhii hai.n ne.amat-e-haq jo hai akl-o-shurb
lekin ajab maza hai sharaab o kabaab kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aa.ii sadaa-e-haq ki yahii band-o-bast hai.n
tere vatan ke log to murda-parast hai.n
Saghar Khayyami
Sher
jo chiiz hai jahaan me.n vo be-misaal hai
har fard-e-KHalq vahdat-e-haq par daliil hai
Mardan Ali Khan Rana
Sher
to kyaa hu.aa jo galaa ye rasan me.n rahne lagaa
maza to daana-e-haq kaa dahan me.n rahne lagaa
Anees Ashfaq
Sher
jo harf-e-haq kii himaayat me.n ho vo gum-naamii
hazaar vaz.a ke naam-o-nishaa.n se achchhii hai