SEARCH RESULTS
Showing search results for "gairo.n"
Sher MATCHES FOR "gairo.n"
Sher
Gairo.n se kahaa tum ne Gairo.n se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
Gairo.n se to fursat tumhe.n din raat nahii.n hai
haa.n mere liye vaqt-e-mulaaqaat nahii.n hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Jafar Ali Hasrat
Sher
kabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii hai
baat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii hai
Allama Iqbal
Sher
mujh se biga.D ga.e to raqiibo.n kii ban ga.ii
Gairo.n me.n baT rahaa hai miraa e'tibaar aaj
Ahmad Husain Mail
Sher
ghar me.n rahte hu.e Gairo.n kii tarah hotii hai.n
la.Dkiyaa.n dhaan ke paudo.n kii tarah hotii hai.n
Munawwar Rana
Sher
ahbaab bhii Gairo.n kii adaa siikh ga.e hai.n
aate hai.n magar dil ko dukhaane nahii.n aate
Bashir Badr
Sher
Gairo.n se mil ke hii sahii be-baak to hu.aa
baare vo shoKH pahle se chaalaak to hu.aa
Muneer Niyazi
Sher
kar ke zaKHmii tuu mujhe sau.np gayaa Gairo.n ko
kaun rakkhegaa mire zaKHm pe marham tujh bin
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shikva apno.n se kiyaa jaataa hai Gairo.n se nahii.n
aap kah de.n to kabhii aap se shikva na kare.n
Khalish Kalkatvi
Sher
Gairo.n ko kyaa pa.Dii hai ki rusvaa kare.n mujhe
in saazisho.n me.n haath kisii aashnaa kaa hai
Asad Badayuni
Sher
ham to apno.n se bhii begaana hu.e ulfat me.n
tum jo Gairo.n se mile tum ko na Gairat aa.ii
Mirza Raza Barq
Sher
Gairo.n pe khul na jaa.e kahii.n raaz dekhnaa
merii taraf bhii Gamza-e-Gammaaz dekhnaa