SEARCH RESULTS
Showing search results for "gajraa"
Sher MATCHES FOR "gajraa"
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
ab to ghabraa ke ye kahte hai.n ki mar jaa.e.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Farhat Ehsas
Sher
miTTii pe numuudaar hai.n paanii ke zaKHiire
in me.n ko.ii aurat se ziyaada nahii.n gahraa
Sarvat Husain
Sher
KHaamosh zindagii jo basar kar rahe hai.n ham
gahre samundaro.n me.n safar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Sher
haa.n samundar me.n utar lekin ubharne kii bhii soch
Duubne se pahle gahraa.ii kaa andaaza lagaa
Arsh Siddiqui
Sher
Andaleeb Shadani
Sher
achchhii qismat achchhaa mausam achchhe log
phir bhii dil ghabraa jaataa hai ba.az auqaat
Manzar Naqvi
Sher
log dete rahe kyaa kyaa na dilaase mujh ko
zaKHm gahraa hii sahii zaKHm hai bhar jaa.egaa
Shakeb Jalali
Sher
vaqt ke saath badalnaa to bahut aasaa.n thaa
mujh se har vaqt muKHaatib rahii Gairat merii
Ameer Qazalbash
Sher
tum se haasil hu.aa ik gahre samundar kaa sukuut
aur har mauj se la.Dnaa bhii tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Sher
ye raah-e-ishq hai aaKHir ko.ii mazaaq nahii.n
sa.uubato.n se jo ghabraa ga.e ho.n ghar jaa.e.n
Dil Ayubi
Sher
kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar
ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur