SEARCH RESULTS
Showing search results for "gam-e-marg-aafrii.n"
Sher MATCHES FOR "gam-e-marg-aafrii.n"
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
shaayad hii raas aa.e mujhe aish-e-marg bhii
'raahii' Gam-e-hayaat kaa maaraa hu.aa huu.n mai.n
Mustafa Rahi
Sher
'qaa.em' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav me.n hai.n naf.a
is mardumii ke shor pe kis kaam kaa huu.n mai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
ye aur baat hai tumhe.n paa kar ga.nvaa diyaa
lekin tumhaaraa Gam Gam-e-dauraa.n banaa diyaa
Gulnar Aafreen
Sher
dil dha.Daktaa hai shab-e-Gam me.n kahii.n aisaa na ho
marg bhii ban kar mizaaj-e-yaar tarsaa.e mujhe
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
ashko.n ke guhar bhii to nahii.n paas mire ab
mai.n soch rahii huu.n Gam-e-dauraa.n tujhe kyaa duu.n
Gulnar Aafreen
Sher
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaa.n se mirii chhaale na ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
raahat ke vaaste hai mujhe aarzu-e-marg
ai 'zauq' gar jo chain na aayaa qazaa ke ba.ad
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
rasm is ghar kii nahii.n daad kisuu kii de ko.ii
shor-o-GauGaa na kar ai murG-e-giraftaar abas
Qayem Chaandpuri
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
hame.n bhii ab dar o diivaar ghar ke yaad aa.e
jo ghar me.n the to hame.n aarzuu-e-sahraa thii
Gulnar Aafreen
Sher
jaa.n nazr kii to dono.n jahaa.n mil ga.e hame.n
tai marg o zindagii kaa har ik marhala hu.aa
Jameel Malik
Sher
takmiil-e-aarzuu se bhii hotaa hai Gam kabhii
aisii du.aa na maa.ng jise bad-du.aa kahe.n
Abu Mohammad Sahar
Sher
adaa-e-KHaar se gulshan kii ba.Dh ga.ii ziinat
agarche phuulo.n ke daaman hai.n taar taar abhii