SEARCH RESULTS
Showing search results for "gam-e-siyaasat-e-ahl-e-jahaa.n"
Sher MATCHES FOR "gam-e-siyaasat-e-ahl-e-jahaa.n"
Sher
bas yuu.nhii ham-sarii-e-ahl-e-jahaa.n mumkin hai
dam-ba-dam apnii bulandii se utartaa jaa.uu.n
Makhmoor Saeedi
Sher
KHa.nda-e-ahl-e-jahaa.n kii mujhe parvaa kyaa hai
tum bhii ha.nste ho mire haal pe ronaa hai yahii
Hasrat Mohani
Sher
Mirza Ghalib
Sher
mai.n pairvi-e-ahl-e-siyaasat nahii.n kartaa
ik raasta in sab se judaa chaahiye mujh ko
Arsh Siddiqui
Sher
baraa.e ahl-e-jahaa.n laakh kaj-kulaah the ham
ga.e hariim-e-suKHan me.n to aajizii se ga.e
Irfan Sattar
Sher
ruu-e-suKHan hai kiidhar ahl-e-jahaa.n kaa yaa rab
sab muttafiq hai.n is par har ek kaa KHudaa hai
Meer Taqi Meer
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
rakhtaa hai talKH-kaam Gam-e-lazzat-e-jahaa.n
kyaa kiijiye ki lutf nahii.n kuchh gunaah kaa
Natiq Gulavthi
Sher
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaane.n
meraa paiGaam mohabbat hai jahaa.n tak pahu.nche
Jigar Moradabadi
Sher
baar-e-Gam-e-jahaa.n bhii hai teraa KHayaal bhii
hai.n kitnii vus.ate.n dil-e-aashufta-haal me.n
Zohra Naseem
Sher
jannat se jii larazne lagaa jab se ye sunaa
ahl-e-jahaa.n vahaa.n bhii mile.nge yahaa.n ke ba.ad
Unknown
Sher
daaman ko chaak kiijiye is ehtiyaat se
ahl-e-jahaa.n ko zaKHm-e-jigar kaa gumaa.n na ho
Himayat Ali Shayar
Sher
chehre pe ek ke bhii na paayaa vafaa kaa ra.ng
ahl-e-jahaa.n kaa KHuun hu.aa sar-ba-sar saped
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Gam-e-jahaan o Gam-e-yaar do kinaare hai.n
udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aa.e
Arshad Abdul Hamid
Sher
Gam-e-habiib nahii.n kuchh Gam-e-jahaa.n se alag
ye ahl-e-dard ne kyaa mas.ale uThaa.e hai.n
Abu Mohammad Sahar
Sher
Gam-e-jahaa.n ke taqaaze shadiid hai.n varna
junuun-e-kuucha-e-dildaar ham bhii rakhte hai.n
Qabil Ajmeri
Sher
Gam-e-jahaa.n ko sharmsaar karne vaale kyaa hu.e
vo saarii umr intizaar karne vaale kyaa hu.e