SEARCH RESULTS
Showing search results for "gam-zado"
Sher MATCHES FOR "gam-zado"
Sher
koh-e-Gam aur giraa.n aur giraa.n aur giraa.n
Gam-zado teshe ko chamkaa.o ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
ham Gam-zada hai.n laa.e.n kahaa.n se KHushii ke giit
de.nge vahii jo paa.e.nge is zindagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
raah me.n Gam-zada-e-ishq ko kyaa Toko ho
apnii haalat me.n giraftaar chalaa jaataa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
dil me.n 'asGar' ke KHushiyo.n kii barsaat thii
ha.nste ha.nste vo kyuu.n Gam-zada ho gayaa
Asghar Shamim
Sher
jaane ko jaa.e fasl-e-gul aane ko aa.e har baras
ham Gam-zado.n ke vaaste jaise chaman vaise qafas
Nooh Narvi
Sher
rumuuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huu.n mai.n
kisii ko Gam-zada dekhaa to ro diyaa huu.n mai.n
Matin Niazi
Sher
har ek gaam ulajhtaa huu.n apne aap se mai.n
vo tiir huu.n jo KHud apnii kamaa.n kii zad me.n hai
Aftab Hussain
Sher
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
zaad-e-safar me.n rakkhe ga.e the ka.ii charaaG
ujlat me.n in se kaam kisii ne nahii.n liyaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
dil ek aur hazaar aazmaa.ishe.n Gam kii
diyaa jalaa to thaa lekin havaa kii zad par thaa
Mushfiq Khwaja
Sher
ban ga.e insaan apnii zaat me.n jangal 'muniir'
bastiyo.n se u.D ga.ii hai buu-e-aadam-zaad tak