SEARCH RESULTS
Showing search results for "gamza"
Sher MATCHES FOR "gamza"
Sher
Gamza nahii.n hotaa ki ishaaraa nahii.n hotaa
aa.nkh un se jo miltii hai to kyaa kyaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Gairo.n pe khul na jaa.e kahii.n raaz dekhnaa
merii taraf bhii Gamza-e-Gammaaz dekhnaa
Momin Khan Momin
Sher
Gamza bhii ho saffaak nigaahe.n bhii ho.n KHuu.n-rez
talvaar ke baa.ndhe se to qaatil nahii.n hotaa
Dagh Dehlvi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
shaiKH aur barhaman me.n agar laag hai to ho
dono.n shikaar-e-Gamza usii dil-rubaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
gar KHanda yaad aa.e to siine ko chaak kar
gar Gamza yaad aa.e to zaKHm-e-sinaa.n uThaa
Ismail Merathi
Sher
Mamnoon Nizamuddin
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
ab to ghabraa ke ye kahte hai.n ki mar jaa.e.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ham Gam-zada hai.n laa.e.n kahaa.n se KHushii ke giit
de.nge vahii jo paa.e.nge is zindagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
miTTii pe numuudaar hai.n paanii ke zaKHiire
in me.n ko.ii aurat se ziyaada nahii.n gahraa
Sarvat Husain
Sher
achchhii qismat achchhaa mausam achchhe log
phir bhii dil ghabraa jaataa hai ba.az auqaat
Manzar Naqvi
Sher
log dete rahe kyaa kyaa na dilaase mujh ko
zaKHm gahraa hii sahii zaKHm hai bhar jaa.egaa
Shakeb Jalali
Sher
ye raah-e-ishq hai aaKHir ko.ii mazaaq nahii.n
sa.uubato.n se jo ghabraa ga.e ho.n ghar jaa.e.n