SEARCH RESULTS
Showing search results for "gandaa"
Sher MATCHES FOR "gandaa"
Sher
kholaa darvaaza samajh kar mujh ko Gair
khaa ga.e dhokaa mirii aavaaz se
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
phaa.D kar KHat us ne qaasid se kahaa
ko.ii paiGaam-e-zabaanii aur hai
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
aashiq-mizaaj rahte hai.n har vaqt taak me.n
siina ko is tarah se ubhaaraa na kiijiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
shaiKH chal tuu sharaab-KHaane me.n
mai.n tujhe aadmii banaa duu.ngaa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
tum jaa.o raqiibo.n kaa karo ko.ii mudaavaa
ham aap bhugat le.nge ki jo ham pe banii hai
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
Daraa.egii hame.n kyaa hijr kii a.ndherii raat
ki sham.a baiThe hai.n pahle hii ham bujhaa.e hu.e
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
go ham sharaab piite hamesha hai.n de ke naqd
lekin mazaa kuchh aur hii paayaa udhaar me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
tiraa aanaa mire ghar ho gayaa ghar Gair ke jaanaa
mujhe ma.aluum thii is KHvaab kii taabiir pahle se
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
chaahne vaalo.n ko chaahaa chaahiye
jo na chaahe phir use kyaa chaahiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
na chalo mujh se tum raqiibo chaal
u.ngliyo.n par tumhe.n nachaa duu.ngaa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
zaahid mirii samajh me.n to dono.n gunaah hai.n
tuu but-shikan hu.aa jo mai.n tauba-shikan hu.aa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
jab bosa le ke mudda.aa mai.n ne bayaa.n kiyaa
bole ziyaada paa.nv pasaaraa na kiijiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
kaalii ghaTaa kab aa.egii fasl-e-bahaar me.n
aa.nkhe.n safed ho ga.ii.n is intizaar me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
ek muddat me.n ba.Dhaayaa tuu ne rabt
ab ghaTaanaa tho.Daa tho.Daa chaahiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
zaahid namaaz bhuulaa idhar dekh kar tujhe
barham buto.n se apne udhar barhaman hu.aa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
laTakte dekhaa siine par jo tere taar-e-gesuu ko
use diivaane vahshat me.n tiraa band-e-qabaa samjhe