SEARCH RESULTS
Showing search results for "gard"
Sher MATCHES FOR "gard"
Sher
chehre pe saare shahr ke gard-e-malaal hai
jo dil kaa haal hai vahii dillii kaa haal hai
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
Ahmad Salman
Sher
daaman jhaTak ke vaadii-e-Gam se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhtii rahii gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
Sher
gard-e-shohrat ko bhii daaman se lipaTne na diyaa
ko.ii ehsaan zamaane kaa uThaayaa hii nahii.n
Hasan Naim
Sher
Zameer Atraulvi
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
an-ginat KHuunii masaa.il kii havaa aisii chalii
ranj-o-Gam kii gard me.n lipTaa har ik chehra milaa
Sajid Khairabadi
Sher
kaarvaa.n se jo bhii bichh.Daa gard-e-sahraa ho gayaa
TuuT kar patte kab apnii shaaKH par vaapas hu.e
Zafar Moradabadi
Sher
ye gard hai mirii aa.nkho.n me.n kin zamaano.n kii
na.e libaas bhii ab to puraane lagte hai.n
Amir Hamza Saqib
Sher
manzile.n gard ke maanind u.Dii jaatii hai.n
vahii andaaz-e-jahaan-e-guzaraa.n hai ki jo thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
paivasta gard-e-dasht rahii gar tah-e-daruu.n
aayaa hai jism-e-qais agar pairahan ke biich
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dilchasp ho ga.ii tire chalne se rahguzar
uTh uTh ke gard-e-raah lipaTtii hai raah se
Jaleel Manikpuri
Sher
itnii jaldii to badalte nahii.n ho.nge chehre
gard-aaluud hai aa.iine ko dhoyaa jaa.e