SEARCH RESULTS
Showing search results for "garm-e-naala-haa-e-firaaq"
Sher MATCHES FOR "garm-e-naala-haa-e-firaaq"
Sher
tanhaa.ii-e-firaaq me.n ummiid baar-haa
gum ho ga.ii sukuut ke ha.ngaama-zaar me.n
Hafeez Jalandhari
Sher
haa.n ai falak-e-piir javaa.n thaa abhii aarif
kyaa teraa biga.Dtaa jo na martaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
Gam-e-firaaq me.n takliif-e-sair-e-baaG na do
mujhe dimaaG nahii.n KHanda-haa-e-bejaa kaa
Mirza Ghalib
Sher
hai parda-e-falak me.n ye kaisaa siyah shigaaf
dekho to ko.ii jhaa.nk rahaa hai zamiin kii or
Riasath Ali Asrar
Sher
hai daur-e-falak zo.af me.n pesh-e-nazar apne
kis vaqt ham uThte hai.n ki chakkar nahii.n aataa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
tujh aisii narm garm ka.ii la.Dkiyo.n ke saath
mai.n ne shab-e-firaaq Dubo dii sharaab me.n
Mansoor Aafaque
Sher
ik saal gayaa ik saal nayaa hai aane ko
par vaqt kaa ab bhii hosh nahii.n diivaane ko
Ibn e Insha
Sher
miraa vajuud o adam bhii ik haadsa nayaa hai
mai.n dafn huu.n kahii.n kahii.n se nikal rahaa huu.n
Khaleel Mamoon
Sher
paa-e-kuubaa.n ko.ii zindaa.n me.n nayaa hai majnuu.n
aatii aavaaz-e-salaasil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Sher
kyuu.n girafta-dil nazar aatii hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujuud hai.n
Sarvat Husain
Sher
Gam-e-firaaq ko siine se lag ke sone do
shab-e-taviil kii hogii sahar kabhii na kabhii
Karamat Ali Karamat
Sher
ai dil tamaam naf.a hai saudaa-e-ishq me.n
ik jaan kaa ziyaa.n hai so aisaa ziyaa.n nahii.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
shab-e-firaaq yahii mashGala hai aashiq kaa
kabhii charaaG jalaanaa kabhii bujhaa denaa
Jigar Gorakhpuri
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
shab-e-firaaq kii zulmat hai naa-gavaar mujhe
naqaab uThaa ki sahar kaa hai intizaar mujhe
Anwar Sabri
Sher
ye kah ke detii jaatii hai taskii.n shab-e-firaaq
vo kaun sii hai raat ki jis kii sahar na ho
Bismil Azimabadi
Sher
ik chaa.nd hai aavaara-o-betaab o falak-taab
ik chaa.nd hai aasuudgii-e-hijr kaa maaraa