SEARCH RESULTS
Showing search results for "garra-e"
Sher MATCHES FOR "garra-e"
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
gadaa-e-kuucha-e-jaanaa.n huu.n martaba hai ba.Daa
ki mere naam hai jaagiir be-navaa.ii kii
Ashique Akbarabadi
Sher
chaman pe Gaarat-e-gul-chii.n se jaane kyaa guzrii
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Ahsan Shafiq
Sher
kahii.n sadaa-e-jaras hai na gard-e-raah-e-safar
Thahar gayaa hai kahaa.n qaafila tamannaa kaa
Javed Shaheen
Sher
jab hu.aa garm-e-kalaam-e-muKHtasar mahkaa diyaa
itr khii.nchaa yaar ke lab ne gul-e-taqriir kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
gadaa-e-shaah-e-najaf huu.n so mere kaase se
jahaa.n ko charKH-e-suKHan ke sabhii pate mile.nge
Muzammil Abbas Shajar
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kidhar kaa chaa.nd hu.aa 'mehr' ke jo ghar aa.e
tum aaj bhuul pa.De kis taraf kidhar aa.e
Hatim Ali Mehr
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
chehre pe saare shahr ke gard-e-malaal hai
jo dil kaa haal hai vahii dillii kaa haal hai
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
amiir shaal do-shaalo.n me.n garm-e-raahat-o-aish
Gariib ke liye jaa.Do.n me.n zindagaanii dhuup
Imdad Ali Bahr
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
kaarvaa.n se jo bhii bichh.Daa gard-e-sahraa ho gayaa
TuuT kar patte kab apnii shaaKH par vaapas hu.e
Zafar Moradabadi
Sher
ab us kii marzii musaafir kahe ki gard-e-paa
mai.n us ke saath musalsal safar me.n rahtaa huu.n