SEARCH RESULTS
Showing search results for "gauhar-e-naayaab"
Sher MATCHES FOR "gauhar-e-naayaab"
Sher
ko.ii bhii dil me.n zaraa jam ke KHaak u.Daataa to
hazaar gauhar-e-naayaab dekh saktaa thaa
Idris Babar
Sher
siine me.n mire daaG-e-Gam-e-ishq-e-nabii hai
ik gauhar-e-naayaab mire haath lagaa hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
vo zaKHm lagaa hai ki dikhaa.ii nahii.n detaa
darkaar hu.aa marham-e-naayaab kaa phaahaa
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
use bhii parda-e-tahziib ko giraanaa hai
mujhe bhii paikar-e-naayaab se nikalnaa hai
Tahir Adeem
Sher
sher achchhe bhii kaho sach bhii kaho kam bhii kaho
dard kii daulat-e-naayaab ko rusvaa na karo
Abdul Ahad Saaz
Sher
Irfan Sattar
Sher
iltijaa.e.n kar ke maa.ngii thii mohabbat kii kasak
be-dilii ne yuu.n Gam-e-naayaab vaapas kar diyaa
Abbas Tabish
Sher
dariyaa-e-mohabbat se 'muhib' le hii ke chho.Dii
mujh ashk ne aaKHir dur-e-naayaab kii miiraas
Waliullah Muhib
Sher
Bayan Meeruthi
Sher
havaa ho aisii ki hindostaa.n se ai 'iqbaal'
u.Daa ke mujh ko Gubaar-e-rah-e-hijaaz kare
Allama Iqbal
Sher
ai Gubaar-e-KHvaahish-e-yak-umr apnii raah le
is galii me.n tujh se pahle ik jahaa.n maujuud hai
Azm Bahzad
Sher
gosha-e-dil kii KHamoshii kaa tamannaa.ii mai.n
aur ha.ngaame uThaa laayaa hai baazaar se tuu