SEARCH RESULTS
Showing search results for "gha.diyo"
Sher MATCHES FOR "gha.diyo"
Sher
husn ke samajhne ko umr chaahiye jaanaa.n
do gha.Dii kii chaahat me.n la.Dkiyaa.n nahii.n khultii.n
Parveen Shakir
Sher
dil de to is mizaaj kaa parvardigaar de
jo ranj kii gha.Dii bhii KHushii se guzaar de
Dagh Dehlvi
Sher
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai jis me.n
har gha.Dii dard ke paivand lage jaate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
azaab hotii hai.n aksar shabaab kii gha.Diyaa.n
gulaab apnii hii KHushbuu se Darne lagte hai.n
Badr Wasti
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche
Bedil Haidri
Sher
mil hii jaa.egaa kabhii dil ko yaqii.n rahtaa hai
vo isii shahr kii galiyo.n me.n kahii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
Nida Fazli
Sher
Jan Nisar Akhtar
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Allama Iqbal
Sher
ham tohfe me.n gha.Diyaa.n to de dete hai.n
ik duuje ko vaqt nahii.n de paate hai.n
Fariha Naqvi
Sher
gha.Dii gha.Dii na idhar dekhiye ki dil pe mujhe
hai iKHtiyaar par itnaa bhii iKHtiyaar nahii.n
Niyaz Fatehpuri
Sher
do gha.Dii us se raho duur to yuu.n lagtaa hai
jis tarah saaya-e-diivaar se diivaar judaa
Ahmad Faraz
Sher
ye soch kar ki tiraa intizaar laazim hai
tamaam umr gha.Dii kii taraf nahii.n dekhaa
Munawwar Rana
Sher
pa.Dhte phire.nge galiyo.n me.n in reKHto.n ko log
muddat rahe.ngii yaad ye baate.n hamaariyaa.n