SEARCH RESULTS
Showing search results for "ghute"
Sher MATCHES FOR "ghute"
Sher
is tarah mere gunaaho.n ko vo dho detii hai
maa.n bahut Gusse me.n hotii hai to ro detii hai
Munawwar Rana
Sher
ham dillii bhii ho aa.e hai.n lahore bhii ghuume
ai yaar magar terii galii terii galii hai
Bashir Badr
Sher
Gusse me.n barhamii me.n Gazab me.n itaab me.n
KHud aa ga.e hai.n vo mire KHat ke javaab me.n
Divakar Rahi
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
Sada Ambalvi
Sher
lamhe udaas udaas fazaa.e.n ghuTii ghuTii
duniyaa agar yahii hai to duniyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Sher
dil ke viiraane me.n ghuume to bhaTak jaa.oge
raunaq-e-kuucha-o-baazaar se aage na ba.Dho
Ada Jafarey
Sher
allaah tere haath hai ab aabruu-e-shauq
dam ghuT rahaa hai vaqt kii raftaar dekh kar
Bismil Azimabadi
Sher
tashbiih tire chehre ko kyaa duu.n gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
baiThe hu.e raqiib hai.n dilbar ke aas-paas
kaa.nTo.n kaa hai hujuum gul-e-tar ke aas-paas
Jigar Moradabadi
Sher
Ameeq Hanafi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
kisii tarah to ghaTe dil kii be-qaraarii bhii
chalo vo chashm nahii.n kam se kam sharaab to ho
Aftab Hussain
Sher
un ke sitam bhii kah nahii.n sakte kisii se ham
ghuT ghuT ke mar rahe hai.n ajab bebasii se ham