SEARCH RESULTS
Showing search results for "giraftaar-e-haal"
Sher MATCHES FOR "giraftaar-e-haal"
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
KHudaa jaane ajal ko pahle kis par rahm aa.egaa
giraftaar-e-qafas par yaa giraftaar-e-nasheman par
Yagana Changezi
Sher
umr sayyaad kii guzrii isii jaasuusii me.n
gul ko naama na kare murG-e-giraftaar-e-ravaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jaane kab kaise giraftaar-e-mohabbat hu.e ham
jaane kab Dhal ga.e iqraar me.n inkaar ke ra.ng
Aleena Itrat
Sher
nau-giraftaar-e-mohabbat huu.n mirii vaz.a se tum
itnaa ghabraa.o na pyaare mai.n sambhal jaa.uu.ngaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ham-safiiro.n se sabaa kahiyo ki tum me.n bhii kabhii
ek din thaa ye giraftaar-e-balaa zamzama-sanj
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ai mire chaaraagar tire bas me.n nahii.n mo.aamla
suurat-e-haal ke liye vaaqif-e-haal chaahiye
Saleem Kausar
Sher
pursish-e-haal kii fursat tumhe.n mumkin hai na ho
pursish-e-haal tabii.at ko gavaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
nau-giraftaar-e-mohabbat huu.n vafaa mujh me.n kahaa.n
kam se kam dil abhii sau baar to aane diije
Bekhud Dehlvi
Sher
aatish kaa sher pa.Dhtaa huu.n aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai vo bahr-e-suKHan ke naha.ng kaa