SEARCH RESULTS
Showing search results for "gizaa-e-ruuh"
Sher MATCHES FOR "gizaa-e-ruuh"
Sher
mujh mast ko kyuu.n bhaa.e na vo saa.nvlii suurat
jii dau.De hai mai-kash kaa Gizaa-e-namakii.n par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
farba-tanii kii fikr me.n naadaa.n hai.n roz-o-shab
aaKHir ko jaante nahii.n hai ye Gizaa-e-marg
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
tere naGmo.n se hai rag rag me.n tarannum paidaa
ishrat-e-ruuh hai zaalim tirii aavaaz nahii.n
Saghar Nizami
Sher
makaa.n kii ko.ii KHabar laa-makaa.n ko kaise ho
safiir-e-ruuh abhii jism ke hisaar me.n hai
Akram Mahmud
Sher
tufail-e-ruuh miraa jism-e-zaar baaqii hai
hu.aa ke dam se ye musht-e-Gubaar baaqii hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
A. D. Azhar
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
saKHtii-e-raah khii.nchiye manzil ke shauq me.n
aaraam kii talaash me.n iizaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
tasviir-e-ruu-e-yaar dikhaanaa basant kaa
aTkheliyo.n se dil ko lubhaanaa basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
chaahaa thaa Thokaro.n me.n guzar jaa.e zindagii
logo.n ne sa.ng-e-raah samajh kar haTaa diyaa