SEARCH RESULTS
Showing search results for "gomtii"
Sher MATCHES FOR "gomtii"
Sher
zaKHm lagaa kar us kaa bhii kuchh haath khulaa
mai.n bhii dhokaa khaa kar kuchh chaalaak hu.aa
Zeb Ghauri
Sher
ba.De azaab me.n huu.n mujh ko jaan bhii hai aziiz
sitam ko dekh ke chup bhii rahaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
so jaate hai.n footpath pe aKHbaar bichhaa kar
mazduur kabhii nii.nd kii golii nahii.n khaate
Munawwar Rana
Sher
dil hai ki tirii yaad se KHaalii nahii.n rahtaa
shaayad hii kabhii mai.n ne tujhe yaad kiyaa ho
Zeb Ghauri
Sher
mirii jagah ko.ii aa.iina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe me.n meraa kaam hai kyaa
Zeb Ghauri
Sher
jitnaa dekho use thaktii nahii.n aa.nkhe.n varna
KHatm ho jaataa hai har husn kahaanii kii tarah
Zeb Ghauri
Sher
Zeb Ghauri
Sher
adhuurii chho.D ke tasviir mar gayaa vo 'zeb'
ko.ii bhii rang mayassar na thaa lahuu ke sivaa
Zeb Ghauri
Sher
ghasiiTte hu.e KHud ko phiroge 'zeb' kahaa.n
chalo ki KHaak ko de aa.e.n ye badan us kaa
Zeb Ghauri
Sher
galaa to gho.nT diyaa ahl-e-madarsa ne tiraa
kahaa.n se aa.e sadaa laa ilaah il-lallaah
Allama Iqbal
Sher
jaag ke mere saath samundar raate.n kartaa hai
jab sab log chale jaa.e.n to baate.n kartaa hai
Zeb Ghauri
Sher
ye kam hai kyaa ki mire paas baiThaa rahtaa hai
vo jab talak mire dil ko dukhaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
Zeb Ghauri
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
tiraa yaqiin huu.n mai.n kab se is gumaan me.n thaa
mai.n zindagii ke ba.De saKHt imtihaan me.n thaa
Zafar Ghauri
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko