SEARCH RESULTS
Showing search results for "guhar"
Sher MATCHES FOR "guhar"
Sher
Allama Iqbal
Sher
achchhaa hu.aa mai.n vaqt ke mehvar se kaT gayaa
qatra guhar banaa jo samundar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
mujhe taraash ke rakh lo ki aane vaalaa vaqt
KHazaf dikhaa ke guhar kii misaal puuchhegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
vo tishnagii thii ki shabnam ko ho.nT tarse hai.n
vo aab huu.n ki muqayyad guhar guhar me.n rahuu.n
Ada Jafarey
Sher
ai sadaf sun tujhe phir yaad dilaa detaa huu.n
mai.n ne ik chiiz tujhe dii thii guhar karne ko
Farhat Ehsas
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
aaj lab-e-guhar-fishaa.n aap ne vaa nahii.n kiyaa
tazkira-e-KHajista-e-aab-o-havaa nahii.n kiyaa
Jaun Eliya
Sher
kise KHabar ki guhar kaise haath aate hai.n
samundaro.n se bhii gahrii hai KHaamushii merii
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
jugnuu thaa kahkashaa.n thaa sitaara thaa yaa guhar
aa.nsuu kisii kii aa.nkh se jab tak giraa na thaa
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
Zubair Rizvi
Sher
guhar lage the KHunuk u.ngliyo.n ke zaKHm mujhe
ab is athaah samundar ko phir kha.ngaale kaun
Zeb Ghauri
Sher
mujh ko saphaltaa baiThe biThaa.e nahii.n milii
mai.n ne guhar talaashe hai.n dariyaa kha.ngaal kar