SEARCH RESULTS
Showing search results for "gul e naghma azee"
Sher MATCHES FOR "gul e naghma azee"
Sher
gulzaar me.n phir ko.ii gul-e-taaza khilaa kyaa
ghabraa.ii sii phirtii hai tuu ai baad-e-sabaa kyaa
Hatim Ali Mehr
Sher
gulgasht-e-baaG ko jo gayaa vo gul-e-fara.ng
Gunche salaam karte the Topii utaar ke
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
vaah kyaa is gul-badan kaa shoKH hai ra.ng-e-badan
jaama-e-aabii agar pahnaa gulaabii ho gayaa
Muzaffar Ali Aseer
Sher
usii huur kii ra.ngat u.Dii rone se hamaare
ra.ng-e-gul-e-firdaus bhii kachchaa nazar aayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
yuu.n aa.o mire pahluu me.n tum ghar se nikal kar
buu aatii hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar
Dattatriya Kaifi
Sher
phailaa fazaa me.n naGma-e-zanjiir-e-marhabaa
zindaa.n me.n ghuT ke rah na sakii zindagii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
Mirza Ali Lutf
Sher
nasrii.n me.n ye mahak hai na ye nastaran me.n hai
buu-e-gul-e-muraad tire pairahan me.n hai
Aziz Hyderabadi
Sher
tum kahe jaate ho aisii fasl-e-gul aa.ii nahii.n
aur agar mai.n ye kahuu.n sau baar aisaa ho chukaa
Shahzad Ahmad
Sher
jab fasl-e-gul aatii hai sadaa detii hai vahshat
zanjiir kaa Gul naara-e-mastaana hai us kaa
Naseem Dehlvi
Sher
Vahshi Kanpuri
Sher
Guncha-e-gul ke sabaa god bharii jaatii hai
ek parii aatii hai aur ek parii jaatii hai
Insha Allah Khan Insha
Sher
hame.n to yaad bahut aayaa mausam-e-gul me.n
vo surKH phuul saa chehra khilaa hu.aa ab ke
Marghoob Ali
Sher
umr sayyaad kii guzrii isii jaasuusii me.n
gul ko naama na kare murG-e-giraftaar-e-ravaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo shaaKH-e-gul pe rahe.n yaa kisii kii mayyat par
chaman ke phuul to aadii hai.n muskuraane ke
Unknown
Sher
mausam-e-gul kaa magar qaafila jaataa hai ki aaj
saare Guncho.n se jo aavaaz-e-jaras aatii hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
bosa-e-sabza-e-KHat de ke gunahgaar kiyaa
tuu ne kaa.nTo.n me.n mujhe ai gul-e-ra.anaa khii.nchaa