SEARCH RESULTS
Showing search results for "gulistan e"
Sher MATCHES FOR "gulistan e"
Sher
is tarah phuu.nk meraa gulistaan-e-aarzuu
phir ko.ii tere baa'd ise viiraa.n na kar sake
Azam Chishti
Sher
dimaaG de jo KHudaa gulshan-e-mohabbat me.n
har ek gul se tire pairahan kii buu aa.e
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
is gulshan-e-hastii kaa har rang niraalaa hai
jab rone lagii shabnam phuulo.n ko ha.nsii aa.ii
Krishn Murari
Sher
logo.n ko apnii fikr hai lekin mujhe nadiim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaa.n kii fikr hai
Abdul Mateen Niyaz
Sher
Unknown
Sher
gulshan-e-dahr se KHushbuu kii tarah guzraa mai.n
sab ko mahkaayaa magar apnii numaa.ish nahii.n kii
Minhaj Ali
Sher
hamii.n pe KHatm hai me.aar-e-gulshan-e-hastii
hamaare baad na KHushbuu chaman se aa.egii
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
Shauq Bahraichi
Sher
gulshan-e-KHuld kii kyaa baat hai kyaa kahnaa hai
par hame.n tere hii kuuche me.n pa.Daa rahnaa hai
Hasan Barelvi
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaa.n 'amjad'
aa.nkh jab KHushk hu.ii aur bhii chehraa chamkaa
Amjad Islam Amjad
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
aazaad to barso.n se hai.n arbaab-e-gulistaa.n
aa.ii na magar taaqat-e-parvaaz abhii tak
Wahid Premi
Sher
ham gulshan-e-hairat me.n hai.n parvaaz kahaa.n kii
juu.n bulbul-e-tasviir kabhii Tuk na hile par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
garche tum taaza gul-e-gulshan-e-ra.anaa.ii ho
phir bhii ye aib hai ik tum me.n ki harjaa.ii ho