SEARCH RESULTS
Showing search results for "gunaah-o-savaab"
Sher MATCHES FOR "gunaah-o-savaab"
Sher
mahsuus bhii ho jaa.e to hotaa nahii.n bayaa.n
naazuk saa hai jo farq gunaah o savaab me.n
Naresh Kumar Shad
Sher
mushkil hai imtiyaaz-e-azaab-o-savaab me.n
piitaa huu.n mai.n sharaab milaa kar gulaab me.n
Aziz Hyderabadi
Sher
jis me.n chhupaa hu.aa ho vajuud-e-gunaah-o-kufr
us mo'atabar libaas pe tezaab Daal do
Kanval Ziai
Sher
buraa sahii mai.n pa niiyat burii nahii.n merii
mire gunaah bhii kaar-e-savaab me.n likhnaa
Umar Ansari
Sher
ajiib haal thaa ahd-e-shabaab me.n dil kaa
mujhe gunaah bhii kaar-e-savaab lagtaa thaa
Hira Nand Soz
Sher
karo gunaah-e-mohabbat tamaam umr 'shahaab'
KHudaa kii dii hu.ii ne.amat buto.n ke kaam aa.e
Shahab Lakhnavi
Sher
Ghous Mathravi
Sher
is qadar Duube gunaah-e-ishq me.n tere habiib
sochte hai.n jaa.e.nge kis mu.nh se tauba kii taraf
Afeef Siraj
Sher
chhaTe Gubaar-e-nazar baam-e-tuur aa jaa.e
piyo sharaab ki chehre pe nuur aa jaa.e
Ghulam Rabbani Taban
Sher
dhoyaa gayaa tamaam hamaaraa Gubaar-e-dil
girye ne dil se KHuub nikaalaa buKHaar-e-dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Gubaar-e-raah chalaa saath ye bhii kyaa kam hai
safar me.n aur ko.ii ham-safar mile na mile
Ghulam Rabbani Taban
Sher
Gubaar-e-dil ko mai.n mizhgaan-e-yaar se jhaa.Daa
ki sach hai hotii hai jarob aastii.n ghar kii