SEARCH RESULTS
Showing search results for "guu.nje.n"
Sher MATCHES FOR "guu.nje.n"
Sher
guu.njte rahte hai.n alfaaz mire kaano.n me.n
tuu to aaraam se kah detaa hai allaah-haafiz
Unknown
Sher
mai.n KHud me.n guu.njtaa huu.n ban ke teraa sannaaTaa
mujhe na dekh mirii tarah be-zabaa.n ban kar
Manmohan Talkh
Sher
guzre.n jo mere ghar se to ruk jaa.e.n sitaare
is tarah mirii raat ko chamkaa.o kisii din
Amjad Islam Amjad
Sher
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
shahro.n ke saare jangal gunjaan ho ga.e hai.n
phir log mere andar sunsaan ho ga.e hai.n
Tanveer Anjum
Sher
dhue.n kii rail chalii manzaro.n me.n dukh guu.njaa
safar kii baat bhii hai baat chho.D jaane kii
Waqas Aziz
Sher
vahshiyo.n ko qaid se chhuuTe hu.e muddat hu.ii
guu.njtaa hai shor ab tak kaan me.n zanjiir kaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
raat ik uj.De makaa.n par jaa ke jab aavaaz dii
guu.nj uTThe baam-o-dar merii sadaa ke saamne
Muneer Niyazi
Sher
mai.n kis zabaan me.n us ko kahaa.n talaash karuu.n
jo merii guu.nj kaa lafzo.n se tarjuma kar de
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
tumhaarii yaad se ye raat kitnii raushan hai
nazar me.n itne hai.n jugnuu ki ham ginaa.e.n kyaa
Faheem Jogapuri
Sher
sahar kii guu.nj se aavaaza-e-jamaal hu.aa
so jaagtaa rahaa atraaf ko jagaa.e hu.e
Afzaal Naveed
Sher
do sagii bahno.n kii do ga.njo.n se shaadii ho ga.ii
aur ye be-zulf bhii ham-zulf kahlaane lage
Ahmad Alvi
Sher
Hammad Niyazi
Sher
zaKHm-dar-zaKHm suKHan aur bhii hotaa hai vasii.a
ashk-dar-ashk ubhartii hai qalamkaar kii guu.nj