SEARCH RESULTS
Showing search results for "haal-e-abad"
Sher MATCHES FOR "haal-e-abad"
Sher
kyuu.n ujaa.Daa zaahido but-KHaana-e-aabaad ko
masjide.n kaafii na hotii.n kyaa KHudaa kii yaad ko
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
nii.nd aa chalii hai anjum-e-shaam-e-abad ko bhii
aa.nkh ahl-e-intizaar kii ab tak lagii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
sunaa haal-e-dil-e-'majruuh' shab ko
ko.ii hasrat sii hasrat thii bayaa.n me.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ham itne pareshaa.n the ki haal-e-dil-e-sozaa.n
un ko bhii sunaayaa ki jo Gam-KHvaar nahii.n the
Razi Akhtar Shauq
Sher
is ishq me.n na puuchho haal-e-dil-e-dariida
tum ne sunaa to hogaa vo sher 'mus.hafii' kaa
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
chaahuu.n ki haal-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karuu.n
bhaage.n huruuf vaqt-e-nigaarish qalam se duur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
dil-e-aabaad kaa 'faanii' ko.ii mafhuum nahii.n
haa.n magar jis me.n ko.ii hasrat-e-barbaad rahe