SEARCH RESULTS
Showing search results for "haar ke vahm men aur jiit ke manzar men rahaa"
Sher MATCHES FOR "haar ke vahm men aur jiit ke manzar men rahaa"
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
har ishq ke manzar me.n thaa ik hijr kaa manzar
ik vasl kaa manzar kisii manzar me.n nahii.n thaa
Aqeel Abbas Jafri
Sher
ab jis ke jii me.n aa.e vahii paa.e raushnii
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa
Qateel Shifai
Sher
shahr kyaa dekhe.n ki har manzar me.n jaale pa.D ga.e
aisii garmii hai ki piile phuul kaale pa.D ga.e
Rahat Indori
Sher
shahr kaa manzar hamaare ghar ke pas-e-manzar me.n hai
ab udhar bhii ajnabii chehre nazar aane lage
Farooq Shafaq
Sher
ab jii me.n hai ki un ko bhulaa kar hii dekh le.n
vo baar baar yaad jo aa.e.n to kyaa kare.n
Akhtar Shirani
Sher
Aitbar Sajid
Sher
kaam us se aa pa.Daa hai ki jis kaa jahaan me.n
leve na ko.ii naam sitam-gar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
kaTii hai jis ke KHayaalo.n me.n umr apnii 'muniir'
mazaa to jab hai ki us shoKH ko pataa hii na ho
Muneer Niyazi
Sher
tuu roz jis ke tajassus me.n aa rahaa hai yahaa.n
hazaar baar bataayaa hai vo nahii.n huu.n me.n
Afzal Khan
Sher
hai jis kii Thokaro.n me.n aab-e-zindagii 'vaamiq'
vo tishnagii kaa samundar dikhaa.ii detaa hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
ko.ii junuu.n ko.ii saudaa na sar me.n rakkhaa jaa.e
bas ek rizq kaa manzar nazar me.n rakkhaa jaa.e
Iftikhar Arif
Sher
kitaab ziist me.n baab-e-alam bhii ho mahfuuz
siyaah-raat kaa manzar sahar me.n rakkhaa jaa.e
Amanullah Khalid
Sher
jis kaa saakin hai mirii zaat me.n ab tak zinda
phuul us qabr pe jaa kar mai.n cha.Dhaa.uu.n kaise
Adeel Zaidi
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
bando.n ko ginaa karte hai.n taulaa nahii.n karte
Allama Iqbal
Sher
Shaad Aarfi
Sher
ishq hai jii kaa ziyaa.n ishq me.n rakkhaa kyaa hai
dil-e-barbaad bataa terii tamannaa kyaa hai
Junaid Hazin Lari
Sher
savaal ye hai ki is pur-fareb duniyaa me.n
KHudaa ke naam pe kis kis kaa ehtiraam kare.n