SEARCH RESULTS
Showing search results for "haat"
Sher MATCHES FOR "haat"
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
mujhe tanhaa.ii kii aadat hai merii baat chho.De.n
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chho.De.n
Javed Saba
Sher
izn-e-KHiraam lete hu.e aasmaa.n se ham
haT kar chale hai.n rahguzar-e-kaarvaa.n se ham
Asrarul Haq Majaz
Sher
umiid-o-biim ke mehvar se haT ke dekhte hai.n
zaraa sii der ko duniyaa se kaT ke dekhte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
baazuu pe rakh ke sar jo vo kal raat so gayaa
aaraam ye milaa ki miraa haat so gayaa
Muztar Khairabadi
Sher
kuchh dino.n ke liye manzar se agar haT jaa.o
zindagii bhar kii shanaasaa.ii chalii jaatii hai
Shakeel Azmi
Sher
yaad kyaa aataa hai vo meraa lage jaanaa aur aah
piichhe haT kar us kaa ye kahnaa ko.ii aa jaa.egaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
log ko.ii aur hii matlab nikaale.n dostii kaa
aap pahluu se mire tho.Daa saa haT ke baiThaa kiije
Ajay Negi
Sher
ghar Gair ke jo yaar miraa raat se gayaa
jii siine se nikal gayaa dil haat se gayaa
Aftab Shah Alam Sani
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
zamii.n kaa rizq huu.n lekin nazar falak par hai
kaho falak se mire raaste se haT jaa.e
Anwar Sadeed
Sher
khulii hu.ii hai jo ko.ii aasaan raah mujh par
mai.n us se haT ke ik aur rasta banaa rahaa huu.n
Anjum Saleemi
Sher
us vaqt dil miraa tire panje ke biich thaa
jis vaqt tuu ne haat lagaayaa thaa haat ko
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
duniyaa se haT ke ik na.ii duniyaa banaa sake.n
kuchh ahl-e-aarzuu isii hasrat me.n mar ga.e