SEARCH RESULTS
Showing search results for "haathii"
Sher MATCHES FOR "haathii"
Sher
ek haathii ek raaja ek raanii ke baGair
nii.nd bachcho.n ko nahii.n aatii kahaanii ke baGair
Maqsood Bastavi
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
mast haathii hai tirii chashm-e-siyah-mast ai yaar
saf-e-mizhgaa.n use ghere hu.e hai bhaalo.n se
Haidar Ali Aatish
Sher
haathii ke ka.ii daa.nt chabaane ke liye hai.n
kuchh daa.nt magar sirf dikhaane ke liye hai.n
Karamat Ali Karamat
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa
Bashir Badr
Sher
Bashir Badr
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye
Ahmad Faraz
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
dushmanii laakh sahii KHatm na kiije rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
Nida Fazli
Sher
zaKHm lagaa kar us kaa bhii kuchh haath khulaa
mai.n bhii dhokaa khaa kar kuchh chaalaak hu.aa
Zeb Ghauri
Sher
haath chhuuTe.n bhii to rishte nahii.n chho.Daa karte
vaqt kii shaaKH se lamhe nahii.n to.Daa karte
Gulzar
Sher
teraa chup rahnaa mire zehn me.n kyaa baiTh gayaa
itnii aavaaze.n tujhe dii.n ki galaa baiTh gayaa