SEARCH RESULTS
Showing search results for "hadiye"
Sher MATCHES FOR "hadiye"
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Sher
'shaukat' hamaare saath ba.Daa haadisa hu.aa
ham rah ga.e hamaaraa zamaana chalaa gayaa
Shaukat Wasti
Sher
haadisa bhii hone me.n vaqt kuchh to letaa hai
baKHt ke biga.Dne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Sher
jaane kis ko Dhuu.nDne daaKHil hu.aa hai jism me.n
haDDiyo.n me.n raasta kartaa hu.aa piilaa buKHaar
Adil Mansuri
Sher
mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye
himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho
Imdad Imam Asar
Sher
marnaa to is jahaa.n me.n ko.ii haadisa nahii.n
is daur-e-naagavaar me.n jiinaa kamaal hai
Ghulam Hassan Hasni
Sher
roke se kahii.n haadsa-e-vaqt rukaa hai
sho.alo.n se bachaa shahr to shabnam se jalaa hai
Ali Ahmad Jalili
Sher
diivaana-vaar naachiye ha.nsiye gulo.n ke saath
kaa.nTe agar mile.n to jigar me.n chubho.iye
Urfi Aafaqi
Sher
hadiis-e-yaar ke unvaa.n nikharne lagte hai.n
to har hariim me.n gesuu sa.nvarne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
vaa-hasrataa ki yaar ne khii.nchaa sitam se haath
ham ko hariis-e-lazzat-e-aazaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
ham aise jaa.e.nge le kar balaa.e.n duniyaa kii
kahii.n na hogaa ko.ii haadisa hamaare baad
Safar Naqvi
Sher
shahr me.n amn-o-amaa.n ho ye zaruurii hai magar
haakim-e-vaqt ke maathe pe likhaa hii kuchh hai
Shamim Qasmi
Sher
KHiraaj maa.ng rahii hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhii hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
'asGar' hariim-e-ishq me.n hastii hii jurm hai
rakhnaa kabhii na paa.nv yahaa.n sar liye hu.e
Asghar Gondvi
Sher
hadiis-e-dil ba-zabaan-e-nazar bhii kah na sakaa
huzuur-e-husn ba.Dhii aur bebasii merii
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
zindagii TuuT ke bikhrii hai sar-e-raah abhii
haadisa kahiye ise yaa ki tamaashaa kahiye
Mohammad Daood Mohsin
Sher
muKHtasar apnii hadiis-e-ziist ye hai ishq me.n
pahle tho.Daa saa ha.nse phir umr bhar royaa kiye