SEARCH RESULTS
Showing search results for "hakaa.e"
Sher MATCHES FOR "hakaa.e"
Sher
hame.n to KHair bikharnaa hii thaa kabhii na kabhii
havaa-e-taaza kaa jho.nkaa bahaana ho gayaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
ik halqa-e-ahbaab hai tanhaa.ii bhii us kii
ik ham hai.n ki har bazm me.n tanhaa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Sher
Ahmad Faraz
Sher
shajar ne puuchhaa ki tujh me.n ye kis kii KHushbuu hai
havaa-e-shaam-e-alam ne kahaa udaasii kii
Rehman Faris
Sher
sar par havaa-e-zulm chale sau jatan ke saath
apnii kulaah kaj hai usii baa.nkpan ke saath
Majrooh Sultanpuri
Sher
aa.ii eid va dil me.n nahii.n kuchh havaa-e-eid
ai kaash mere paas tuu aataa bajaa.e eid
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
havaa-e-kuufa-e-naa-mehrbaa.n ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-razaa me.n zinda hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
go havaa-e-gulsitaa.n ne mire dil kii laaj rakh lii
vo naqaab KHud uThaate to kuchh aur baat hotii
Agha Hashr Kashmiri
Sher
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
Wali Uzlat
Sher
dil is tarah havaa-e-mohabbat me.n jal gayaa
bha.Dkii kahii.n na aag na uTThaa dhu.aa.n kahii.n
Nazm Tabatabai
Sher
KHudaa kaa shukr hai girdaab se nikal aayaa
mai.n us ke halqa-e-ahbaab se nikal aayaa
Mahboob Zafar
Sher
haq-e-tanqiid tumhe.n hai magar is shart ke saath
jaa.eza lete raho apne garebaano.n kaa
Iqbal Azeem
Sher
raqiib jam ke ye baiThaa ki ham uThe naa-chaar
ye patthar ab na haTaa.e haTe hai kyaa kiije
Waliullah Muhib
Sher
tabaah ho ke haqaa.eq ke khurdure-pan se
tasavvuraat kii ta.amiir kar rahaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
sahraa-e-be-KHayaal me.n jal-thal kahaa.n ke hai.n
aaKHir havaa-e-shauq ye baadal kahaa.n ke hai.n
Rasa Chughtai
Sher
haqq-e-mehnat un Gariibo.n kaa samajhte gar amiir
apne rahne kaa makaa.n de Daalte mazduur ko