SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-martaba"
Sher MATCHES FOR "ham-martaba"
Sher
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqii buland
tujh ko to muft logo.n ne mash.huur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
har saa.ns hai ik naGma har naGma hai mastaana
kis darja dukhe dil kaa ra.ngiin hai afsaana
Arzoo Lakhnavi
Sher
har marhala-e-Gam me.n milii is se tasallii
har mo.D pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
Kausar Niyazi
Sher
ishq kaa ab martaba pahu.nchaa muqaabil husn ke
ban ga.e but ham bhii aaKHir us sanam kii yaad me.n
Meer Hasan
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
haram ko chho.D rahuu.n kyuu.n na but-kade me.n shaiKH
ki yaa.n har ek ko hai martaba KHudaa.ii kaa
Taban Abdul Hai
Sher
rahe qafas hii me.n ham aur chaman me.n phir phir kar
hazaar martaba mausam bahaar kaa pahu.nchaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
bhaTak ke ko.ii gayaa dair ko ko.ii ka.abe
ajiib bhuul-bhulayyaa.n hai marhala dil kaa
Imdad Ali Bahr
Sher
haar us kii jiitne kaa shauq meraa le ga.ii
phir mujhe haaraa hu.aa har marhala achchhaa lagaa
Hina Rizvi
Sher
aa tujhe merii qasam mushkil mirii aasaan kar
ziist kaa har marhala dushvaar hai tere baGair
Saib Tonki
Sher
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
saa.nso.n ke aane jaane se lagtaa hai
ik pal jiitaa huu.n to ik pal martaa huu.n
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
vo saas ab kitnii martaba martabaan jhaa.nke
bahuu to do din me.n khaa ga.ii hai achaar aadhaa
Athar Shah Khan Jaidi
Sher
kaisaa ye marhala hai ki ik duusre se ham
kahne ko aashnaa hai.n magar aashnaa nahii.n