SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-vatano"
Sher MATCHES FOR "ham-vatano"
Sher
sub.h kaisii hai vahaa.n shaam kii ra.ngat kyaa hai
ab tire shahr me.n haalaat kii suurat kyaa hai
Azhar Adeeb
Sher
Qadr Bilgrami
Sher
paara-e-dil hai vatan kii sarzamii.n mushkil ye hai
shahr ko viiraan yaa is dil ko viiraana kahe.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
maanaa ki ham vatan se aziizo.n se duur hai.n
tahziib se judaa hai.n na urdu zabaa.n se duur
Sultanul hasan Farooqi
Sher
Iftikhar Shafi
Sher
hai vahaa.n shaan-e-taGaaful ko jafaa se bhii gurez
iltifaat-e-nigah-e-yaar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
qaasid aayaa hai vahaa.n se tuu zaraa tham to sahii
baat to karne de us se dil-e-betaab mujhe
Taskeen Dehlavi
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
paabandii-e-ahkaam-e-sharii.at hai vahaa.n farz
rindo.n ko ruKH-e-saaqii-o-saaGar hu.e maKHsuus
Sahir Dehlavi
Sher
maz.hab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaa
hindii hai.n ham vatan hai hindostaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
raushnii baa.nTtaa huu.n sarhado.n ke paar bhii mai.n
ham-vatan is liye Gaddaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
rahtaa hai vahaa.n zikr-e-tuhuur-o-mai-e-kausar
ham aaj se kaabe ko bhii mai-KHaana kahe.nge
Fana Nizami Kanpuri
Sher
safar taviil sahii haasil-e-safar ye hai
vahaa.n ko bhuul ga.e aur yahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
khele.n aapas me.n parii-chehra jahaa.n zulfe.n khol
kaun puuchhe hai vahaa.n haal-e-pareshaa.n meraa
Hasrat Azimabadi
Sher
maqaam-e-barq jise aasmaa.n bhii kahte hai.n
iraada ab hai vahaa.n apnaa ghar banaane kaa
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
hai aur ilm o adab maktab-e-mohabbat me.n
ki hai vahaa.n kaa moallim judaa adiib judaa