SEARCH RESULTS
Showing search results for "hamaa"
Sher MATCHES FOR "hamaa"
Sher
mai.n be-hunar thaa magar sohbat-e-hunar me.n rahaa
shu.uur baKHshaa hama-ra.ng mahfilo.n ne mujhe
Nasir Zaidi
Sher
Abbas Rizvi
Sher
'Gaalib' vo shaKHs thaa hama-daa.n jis ke faiz se
ham se hazaar hech-madaa.n naamvar hu.e
Hargopal Tafta
Sher
saaraa aalam hama-tan-gosh hu.aa jaataa hai
saaz-e-hastii hai ki KHaamosh hu.aa jaataa hai
Syed Azam Husain Azam
Sher
burqa ko ulaT mujh se jo kartaa hai vo baate.n
ab mai.n hama-tan-gosh banuu.n yaa hama-tan-chashm
Shah Naseer
Sher
gul aate hai.n hastii me.n adam se hama-tan-gosh
bulbul kaa ye naala nahii.n afsaana hai us kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
dil bhii sanam-parast nazar bhii sanam-parast
is aashiqii me.n KHaana hama-aaftaab thaa
Zaheer Kashmiri
Sher
Afeef Siraj
Sher
diivaangii merii ke tahayyur me.n shab-o-roz
hai halqa-e-zanjiir se zindaa.n hama-tan-chashm
Nazeer Akbarabadi
Sher
ash.aar mere sun ke vo KHaamosh ho gayaa
Gunche ba-ra.ng-e-gul hama-tan gosh ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
har-chand hama-giir nahii.n zauq-e-asiirii
har paa.nv me.n zanjiir hai mai.n dekh rahaa huu.n
Haneef Akhgar
Sher
baa-ii.n-hama darmaandagii insaa.n ke ye da.ave
kyaa zaat-e-shariif in ko banaayaa hai KHudaa ne
Ismail Merathi
Sher
hama bayaaz the har samt qurmuzii 'aariz
mai.n kaise saa’ad-e-siimii.n pe dastaKHat kartaa
Zahoor Minhas
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai