SEARCH RESULTS
Showing search results for "hamraah"
Sher MATCHES FOR "hamraah"
Sher
aa.o mil jaa.o ki ye vaqt na paa.oge kabhii
mai.n bhii ham-raah zamaane ke badal jaa.uu.ngaa
Dagh Dehlvi
Sher
mai.n kashtii me.n akelaa to nahii.n huu.n
mire hamraah dariyaa jaa rahaa hai
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Jaun Eliya
Sher
dil-e-betaab ke hamraah safar me.n rahnaa
ham ne dekhaa hii nahii.n chain se ghar me.n rahnaa
Ahmad Javaid
Sher
apne hamraah jo aate ho idhar se pahle
dasht pa.Dtaa hai miyaa.n ishq me.n ghar se pahle
Ibn e Insha
Sher
justujuu kho.e hu.o.n kii umr bhar karte rahe
chaa.nd ke hamraah ham har shab safar karte rahe
Parveen Shakir
Sher
aanaa na mirii qabr pe hamraah-e-raqiibaa.n
murde ko musalmaa.n ke jalaayaa nahii.n karte
Unknown
Sher
mire hamraah kyuu.n vo shaKHs chalnaa chaahtaa hai
safar ke josh me.n kyaa aagahii gum ho ga.ii hai
Saleem Sarfaraz
Sher
yaad-e-maazii Gam-e-imroz umiid-e-fardaa
kitne saa.e mire hamraah chalaa karte hai.n
Shamim Karhani
Sher
ai mire paa.nv ke chhaalo mire ham-raah raho
imtihaa.n saKHt hai tum chho.D ke jaate kyuu.n ho
Laiq Aajiz
Sher
yaad-e-maazii kii pur-asraar hasii.n galiyo.n me.n
mere hamraah abhii ghuum rahaa hai ko.ii
Khurshid Ahmad Jami
Sher
mai.n apnii pyaas ke hamraah mashkiiza uThaa.e
ki in sairaab logo.n me.n ko.ii pyaasaa milegaa
Sarvat Husain
Sher
is tarah rail ke hamraah ravaa.n hai baadal
saath jaise ko.ii u.Dtaa hu.aa mai-KHaana chale
Akhtar Shirani
Sher
mere maahaul me.n har samt bure log nahii.n
kuchh bhale bhii mire hamraah chale aate hai.n
Muzaffar Razmi
Sher
mire hamraah garche duur tak logo.n kii raunaq hai
magar jaise ko.ii kam hai kabhii milne chale aa.o
Adeem Hashmi
Sher
vaqt puujegaa hame.n vaqt hame.n Dhuu.nDegaa
aur tum vaqt ke ham-raah chaloge yaaro