SEARCH RESULTS
Showing search results for "harf-e-anaa"
Sher MATCHES FOR "harf-e-anaa"
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
vo sun rahaa hai mirii be-zabaaniyo.n kii zabaa.n
jo harf-o-saut-o-sadaa-o-zabaa.n se pahle thaa
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
us harf-e-baa-safaa ne to suulii cha.Dhaa diyaa
vo ek harf-e-haq jo mire haafize me.n thaa
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
kisii ke harf-e-tamannaa kii intihaa huu.n mai.n
kisii ke harf-e-du.aa ne mirii hifaazat kii
Moid Rasheedi
Sher
KHaak me.n daulat-e-pindaar-o-anaa miltii hai
apnii miTTii se bichha.Dne kii sazaa miltii hai
Iftikhar Arif
Sher
canvas par hai ye kis kaa paikar-e-harf-o-sadaa
ik numuud-e-aarzuu jo be-nishaa.n hai aur bas
Ashar Najmi
Sher
Saleem Kausar
Sher
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaaqat likhnaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhnaa
Habib Jalib
Sher
Afeef Siraj
Sher
hai du.aa yaad magar harf-e-du.aa yaad nahii.n
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
kuchh harf o suKHan pahle to aKHbaar me.n aayaa
phir ishq miraa kuucha o baazaar me.n aayaa
Irfan Siddiqi
Sher
aashiq hai.n ham ko harf-e-mohabbat se kaam hai
mullaa nikaaltaa phire matlab kitaab se
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
tuu samajhtaa hai mujhe harf-e-mukarrar lekin
mai.n sahiifa huu.n tire dil pe utarne vaalaa