SEARCH RESULTS
Showing search results for "harf-e-naa-tamaam"
Sher MATCHES FOR "harf-e-naa-tamaam"
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
Allama Iqbal
Sher
naa-umiidii harf-e-tohmat hii sahii kyaa kiijiye
tum qariib aate nahii.n ho aur KHudaa miltaa nahii.n
Akhtar Saeed Khan
Sher
tum hame.n harf-e-Galat kah ke miTaa bhii na sake
ab bhii har lab pe sar-e-bazm hai charchaa apnaa
Masooda Hayat
Sher
kaaGaz tamaam kilk tamaam aur ham tamaam
par daastaan-e-shauq abhii naa-tamaam hai
Aadil Aseer Dehlvi
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
Afeef Siraj
Sher
ashk aa.nkho.n se mirii nikle musalsal lekin
us ne ik harf-e-tasallii na nikaalaa lab se
Sada Ambalvi
Sher
ko.ii tashbiih kaa KHurshiid na talmiih kaa chaa.nd
sar-e-qirtaas lagaa harf-e-barhana achchhaa
Akhtar Husain Jafri
Sher
phirtaa hai mere dil me.n ko.ii harf-e-mudda.aa
qaasid se kah do aur na jaa.e zaraa sii der
Dagh Dehlvi
Sher
dam kaa aanaa to ba.Dii baat hai lab par 'aarif'
zo.af ne harf-e-shikaayat kabhii aane na diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
mai.n agar harf-e-Galat thaa to likhaa hii kyo.n thaa
likh diyaa hai to KHudaaraa na miTaayaa jaa.e
Anjum Farooq
Sher
ham haqiiqat hai.n to tasliim na karne kaa sabab
haa.n agar harf-e-Galat hai.n to miTaa do ham ko
Ehsan Danish
Sher
maa.ngne ko to yahaa.n apne sivaa kuchh bhii na thaa
lab pe aataa bhii agar harf-e-du.aa kyaa karte
Tanveer Ahmad Alvi
Sher
Ashar Najmi
Sher
tamaam harf mire lab pe aa ke jam se ga.e
na jaane mai.n kahaa kyaa aur us ne samjhaa kyaa