SEARCH RESULTS
Showing search results for "hasti-e-mauhuum"
Sher MATCHES FOR "hasti-e-mauhuum"
Sher
parda-e-hijr vahii hasti-e-mauhuum thii 'yaas'
sach hai pahle nahii.n maaluum thaa ye raaz mujhe
Yagana Changezi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
e'tibaaraat hai.n ye hastii-e-mauhuumii ke
fil-haqiiqat to ko.ii KHaa.n hai na navvaab hai yaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ho gayaa mehmaa.n-saraa-e-kasrat-e-mauhuum aah
vo dil-e-KHaalii ki teraa KHaas KHalvat-KHaana thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
ajab nahii.n ki ho diivaar nuqta-e-mauhuum
makaan ho ki makii.n do dilo.n kaa milnaa dekh
Syed Amin Ashraf
Sher
mai.n jab pe.D se gir ke zamii.n kii KHaak hu.aa
tab ik aalam-e-mauhuum samajh me.n aayaa
Krishna Kumar Toor
Sher
shaahid-e-hastii-e-mutlaq kii kamar hai aalam
log kahte hai.n ki hai par hame.n manzuur nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
kuchh is qadar nahii.n safar-e-hastii-o-adam
gar paa.nv uThaa.iye to ye arsa hai do qadam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hastii-e-Gair kaa sajda hai mohabbat me.n gunaah
aap hii apnii parastish ke sazaa-vaar hai.n ham
Muztar Khairabadi
Sher
dil ko honaa hai fanaa rahnaa hai qaa.em aql ko
hastii-e-aadam kahaa.n jaa.e ye fitrat chho.D kar
Priyamvada Ilhan
Sher
gar sukuu.n chaahiye is lamha-e-maujuud me.n bhii
aa.o is lamha-e-maujuud se baahar nikle.n
Wasi Shah
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
Fidvi Lahori
Sher
maazii-e-marhuum kii naakaamiyo.n kaa zikr chho.D
zindagii kii fursat-e-baaqii se ko.ii kaam le
Seemab Akbarabadi
Sher
ja.ngal me.n Tesuu phuulaa aur baaG me.n shaguufa
fasl-e-bahaar aa.ii mausam gayaa KHizaa.n kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tazkira dehli-e-marhuum kaa ai dost na chhe.D
na sunaa jaa.egaa ham se ye fasaana hargiz
Altaf Hussain Hali
Sher
aasifuddaula-e-marhuum vo thaa shusta-mizaaj
jis ke gulzaar me.n pa.Dtaa thaa sabaa se dhabbaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Gam-e-maujuud Galat aur Gam-e-fardaa baatil
raahat ik KHvaab hai jis kii ko.ii taabiir nahii.n
Sahir Dehlavi
Sher
ham dikhaa.e.nge tamaasha tujh ko phir sarv-e-chaman
dil se gar sarzad hamaare naala-e-mauzuu.n hu.aa
Shah Naseer
Sher
har gaam pe hii saa.e se ik misra.a-e-mauzuu.n
gar chand qadam chaliye to kyaa KHuub Gazal ho