SEARCH RESULTS
Showing search results for "hausla"
Sher MATCHES FOR "hausla"
Sher
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
har ek baat ko chup-chaap kyuu.n sunaa jaa.e
kabhii to hausla kar ke nahii.n kahaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
mai.n aa.ndhiyo.n ke paas talaash-e-sabaa me.n huu.n
tum mujh se puuchhte ho miraa hausla hai kyaa
Ada Jafarey
Sher
havaa KHafaa thii magar itnii sa.ng-dil bhii na thii
hamii.n ko sham.a jalaane kaa hausla na hu.aa
Qaisarul Jafri
Sher
vaqt KHush KHush kaaTne kaa mashvara dete hu.e
ro pa.Daa vo aap mujh ko hausla dete hu.e
Riaz Majeed
Sher
tum ham-safar hu.e to hu.ii zindagii aziiz
mujh me.n to zindagii kaa ko.ii hausla na thaa
Obaidullah Aleem
Sher
hausla hai to safiino.n ke alam lahraa.o
bahte dariyaa to chale.nge isii raftaar ke saath
Shahzad Ahmad
Sher
na jaane log Thaharte hai.n vaqt-e-shaam kahaa.n
hame.n to ghar me.n bhii rukne kaa hauslaa na hu.aa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
Aashufta Changezi
Sher
hazaar tarah kii mai pii hazaar tarah ke zahr
na pyaas hii bujhii apnii na hausla niklaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
hausla kis me.n hai yuusuf kii KHariidaarii kaa
ab to mah.ngaa.ii ke charche hai.n zuleKHaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
ye hausla bhii kisii roz kar ke dekhuu.ngii
agar mai.n zaKHm huu.n us kaa to bhar ke dekhuu.ngii