SEARCH RESULTS
Showing search results for "hikmat"
Sher MATCHES FOR "hikmat"
Sher
dekh kar shaa.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahaa
aur be-soche zamaane ne use ''aurat'' kahaa
Shaad Aarfi
Sher
idhar terii mashiyyat hai udhar hikmat rasuulo.n kii
ilaahii aadmii ke baab me.n kyaa hukm hotaa hai
Josh Malihabadi
Sher
Tek Chand Bahar
Sher
nigaar-KHaana-e-hikmat kaliid-e-baab-e-junuu.n
amiin-e-sub.h-e-masarrat ra.iis-e-shaam-e-alam
Izhaar Malihabadi
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
bando.n ko ginaa karte hai.n taulaa nahii.n karte
Allama Iqbal
Sher
ek aa.nsuu bhii hukuumat ke liye KHatra hai
tum ne dekhaa nahii.n aa.ankho.n kaa samundar honaa
Munawwar Rana
Sher
mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai qadam safar kii taraf
Shehpar Rasool
Sher
vahaa.n se hai mirii himmat kii ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane kii
Josh Malihabadi
Sher
ab yaad-e-raftagaa.n kii bhii himmat nahii.n rahii
yaaro.n ne kitnii duur basaa.ii hai.n bastiyaa.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
kii mohabbat to siyaasat kaa chalan chho.D diyaa
ham agar ishq na karte to hukuumat karte
Unknown
Sher
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl
na.ii kitaab kaa ek ik varaq puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
hu.ii na aam jahaa.n me.n kabhii hukuumat-e-ishq
sabab ye hai ki mohabbat zamaana-saaz nahii.n
Allama Iqbal
Sher
ik umr sunaa.e.n to hikaayat na ho puurii
do roz me.n ham par jo yahaa.n biit ga.ii hai