SEARCH RESULTS
Showing search results for "himayat ali shayar"
Sher MATCHES FOR "himayat ali shayar"
Sher
daaman ko chaak kiijiye is ehtiyaat se
ahl-e-jahaa.n ko zaKHm-e-jigar kaa gumaa.n na ho
Himayat Ali Shayar
Sher
apne kisii amal pe nadaamat nahii.n mujhe
thaa nek-dil bahut jo gunahgaar mujh me.n thaa
Himayat Ali Shayar
Sher
suuraj ke ujaale me.n charaaGaa.n nahii.n mumkin
suuraj ko bujhaa do ki zamii.n jashn manaa.e
Himayat Ali Shayar
Sher
sirf zinda rahne ko zindagii nahii.n kahte
kuchh Gam-e-mohabbat ho kuchh Gam-e-jahaa.n yaaro
Himayat Ali Shayar
Sher
taariikii me.n lipTii hu.ii pur-haul KHamoshii
is aalam me.n kyaa nahii.n mumkin jaagte rahnaa
Himayat Ali Shayar
Sher
raushnii me.n apnii shaKHsiyat pe jab bhii sochnaa
apne qad ko apne saa.e se bhii kam-tar dekhnaa
Himayat Ali Shayar
Sher
is dasht-e-suKHan me.n ko.ii kyaa phuul khilaa.e
chamkii jo zaraa dhuup to jalne lage saa.e
Himayat Ali Shayar
Sher
suuraj ko ye Gam hai ki samundar bhii hai paayaab
yaa rab mire qulzum me.n ko.ii sail-e-ravaa.n aur
Himayat Ali Shayar
Sher
mai.n sochtaa huu.n is liye shaayad mai.n zinda huu.n
mumkin hai ye gumaan haqiiqat kaa gyaan de
Himayat Ali Shayar
Sher
rah jaa.e ik nigaah kaa parda hii darmiyaa.n
tahziib ke badan se to rasm-e-qabaa uThii
Himayat Ali Shayar
Sher
phir mirii aas ba.Dhaa kar mujhe maayuus na kar
haasil-e-Gam ko KHudaa-raa Gam-e-haasil na banaa
Himayat Ali Shayar
Sher
iimaa.n bhii laaj rakh na sakaa mere jhuuT kii
apne KHudaa pe kitnaa mujhe e'timaad thaa
Himayat Ali Shayar
Sher
badan pe pairahan-e-KHaak ke sivaa kyaa hai
mire alaav me.n ab raakh ke sivaa kyaa hai
Himayat Ali Shayar
Sher
ham bhii hai.n kisii kahf ke as.haab ke maanind
aisaa na ho jab aa.nkh khule vaqt guzar jaa.e
Himayat Ali Shayar
Sher
ab na ko.ii manzil hai aur na rahguzar ko.ii
jaane qaafila bhaTke ab kahaa.n kahaa.n yaaro
Himayat Ali Shayar
Sher
Himayat Ali Shayar
Sher
mai.n sach to boltaa huu.n magar ai KHudaa-e-harf
tuu jis me.n sochtaa hai mujhe vo zabaan de