SEARCH RESULTS
Showing search results for "hol"
Sher MATCHES FOR "hol"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Anwar Shuoor
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
dushmanii jam kar karo lekin ye gunjaa.ish rahe
jab kabhii ham dost ho jaa.e.n to sharminda na ho.n