SEARCH RESULTS
Showing search results for "honhaar"
Sher MATCHES FOR "honhaar"
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
Waseem Barelvi
Sher
bas-ki dushvaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa
aadmii ko bhii muyassar nahii.n insaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
Munawwar Rana
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
aise rishte kaa bharam rakhnaa ko.ii khel nahii.n
teraa honaa bhii nahii.n aur tiraa kahlaanaa bhii
Waseem Barelvi
Sher
auro.n kii buraa.ii ko na dekhuu.n vo nazar de
haa.n apnii buraa.ii ko parakhne kaa hunar de
Khaleel Tanveer
Sher
Bashir Badr
Sher
kaun aa.egaa yahaa.n ko.ii na aayaa hogaa
meraa darvaaza havaa.o.n ne hilaayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
hogaa kisii diivaar ke saa.e me.n pa.Daa 'miir'
kyaa rabt mohabbat se us aaraam-talab ko
Meer Taqi Meer
Sher
kii mire qatl ke baa'd us ne jafaa se tauba
haa.e us zuud-pashiimaa.n kaa pashiimaa.n honaa