SEARCH RESULTS
Showing search results for "hosh"
Sher MATCHES FOR "hosh"
Sher
Nida Fazli
Sher
ik saal gayaa ik saal nayaa hai aane ko
par vaqt kaa ab bhii hosh nahii.n diivaane ko
Ibn e Insha
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e
Farhat Shahzad
Sher
mujh ko to hosh nahii.n tum ko KHabar ho shaayad
log kahte hai.n ki tum ne mujhe barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
saarii duniyaa ye samajhtii hai ki saudaa.ii hai
ab miraa hosh me.n aanaa tirii rusvaa.ii hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
ek jaise lag rahe hai.n ab sabhii chehre mujhe
hosh kii ye intihaa hai yaa bahut nashshe me.n huu.n
Bharat Bhushan Pant
Sher
sabr par dil ko to aamaada kiyaa hai lekin
hosh u.D jaate hai.n ab bhii tirii aavaaz ke saath
Aasi uldani
Sher
kabhii un mad-bharii aa.nkho.n se piyaa thaa ik jaam
aaj tak hosh nahii.n hosh nahii.n hosh nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
KHayaal thaa ki ye pathraav rok de.n chal kar
jo hosh aayaa to dekhaa lahuu lahuu ham the
Rahat Indori
Sher
saaqii zaraa nigaah milaa kar to dekhnaa
kambaKHt hosh me.n to nahii.n aa gayaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
na tumhe.n hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuuT ke chaaho mujhe paagal kar do
Wasi Shah
Sher
jism to KHaak hai aur KHaak me.n mil jaa.egaa
mai.n bahar-haal kitaabo.n me.n miluu.ngaa tum ko
Hosh Nomani Rampuri
Sher
Jaun Eliya
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
rote rote mire ha.nsne pe ta.ajjub na karo
hai vahii chiiz magar duusre andaaz me.n hai