SEARCH RESULTS
Showing search results for "hudhud"
Sher MATCHES FOR "hudhud"
Sher
ab in huduud me.n laayaa hai intizaar mujhe
vo aa bhii jaa.e.n to aa.e na e'tibaar mujhe
Khumar Barabankavi
Sher
huduud-e-vaqt se baahar ajab hisaar me.n huu.n
mai.n ek lamha huu.n sadiyo.n ke intizaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
fasiil-e-jism pe taaza lahuu ke chhii.nTe hai.n
huduud-e-vaqt se aage nikal gayaa hai ko.ii
Shakeb Jalali
Sher
ab mai.n huduud-e-hosh-o-KHirad se guzar gayaa
Thukraa.o chaahe pyaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Ganesh Bihari Tarz
Sher
apne huduud se na ba.Dhe ko.ii ishq me.n
jo zarra jis jagah hai vahii.n aaftaab hai
Jigar Moradabadi
Sher
yaaro huduud-e-Gam se guzarne lagaa huu.n mai.n
mujh ko sameT lo ki bikharne lagaa huu.n mai.n
Faragh Rohvi
Sher
huduud-e-dil se jo guzraa vo jaan-levaa thaa
yuu.n zalzale to ka.ii is jahaan me.n aa.e
Khaleel Tanveer
Sher
huduud-e-jism se aage ba.Dhe to ye dekhaa
ki tishnagii thii barahna tirii adaa.o.n tak
Shaukat Pardesi
Sher
huduud-e-kuucha-e-mahbuub hai.n vahii.n se shuruu.a
jahaa.n se pa.Dne lagii.n paa.nv Dagmagaate hu.e
Unknown
Sher
huduud-e-vaqt ke darvaaze muntazir hai.n 'nasiim'
ki tuu ye faasle kar ke ubuur dastak de
Naseem Sahar
Sher
huduud-e-shahr se baahar bhii bastiyaa.n phailii.n
simaT ke rah ga.e yuu.n ja.ngalo.n ke ghere bhii