SEARCH RESULTS
Showing search results for "hukum"
Sher MATCHES FOR "hukum"
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
is qadar thaa khaTmalo.n kaa chaarpaa.ii me.n hujuum
vasl kaa dil se mire armaan ruKHsat ho gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n is liye hujuum kaa hissa nahii.n banaa
suuraj kabhii nujuum kaa hissa nahii.n banaa
Shahid Makuli
Sher
kashtii-e-mai ko hukm-e-ravaanii bhii bhej do
jab aag bhej dii hai to paanii bhii bhej do
Josh Malihabadi
Sher
Zaheer Kashmiri
Sher
qaum ke Gam me.n dinner khaate hai.n hukkaam ke saath
ra.nj leader ko bahut hai magar aaraam ke saath
Akbar Allahabadi
Sher
Rais Farogh
Sher
hujuum aisaa ki raahe.n nazar nahii.n aatii.n
nasiib aisaa ki ab tak to qaafila na hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
hasrato.n kaa ho gayaa hai is qadar dil me.n hujuum
saa.ns rasta Dhuu.nDhtii hai aane jaane ke liye
Jigar Jalandhari
Sher
salaam un pe tah-e-teG bhii jinho.n ne kahaa
jo teraa hukm jo terii razaa jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Sher
baiThe hu.e raqiib hai.n dilbar ke aas-paas
kaa.nTo.n kaa hai hujuum gul-e-tar ke aas-paas
Jigar Moradabadi
Sher
ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aa.egaa
jo hukm ho to yahii.n chho.D duu.n fasaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
umiid kaa ye rang hai hujuum-e-ra.nj-o-yaas me.n
ki jis tarah ko.ii hasii.n ho maatamii libaas me.n