SEARCH RESULTS
Showing search results for "huzuur-e-man"
Sher MATCHES FOR "huzuur-e-man"
Sher
huzuur-e-duKHtar-e-raz haath paa.nv kaa.npte hai.n
tamaam masto.n ko ra.asha hai ruu-ba-ruu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Sher
pople mu.nh se chane khaanaa nahii.n mumkin huzuur
aa nahii.n saktii javaanii lauT ke maajuun se
Zafar Kamali
Sher
huzuur-e-yaar bhii aa.nsuu nikal hii aate hai.n
kuchh iKHtilaaf ke pahluu nikal hii aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
hayaat aaj bhii kaniiz hai huzuur-e-jabr me.n
jo zindagii ko jiit le vo zindagii kaa mard hai
Bashir Badr
Sher
huzuur-e-husn ye dil kaasa-e-gadaa.ii hai
huu.n vo faqiir jise bhiik bhii na de ko.ii
Shahzad Ahmad
Sher
hadiis-e-dil ba-zabaan-e-nazar bhii kah na sakaa
huzuur-e-husn ba.Dhii aur bebasii merii
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
ishq kii dastaras me.n kuchh bhii nahii.n
jaan-e-man! mere bas me.n kuchh bhii nahii.n
Ghulam Husain Sajid
Sher
jis bulandii se tuu bhii na aa.e nazar
aisii shohrat kii ai maa.n du'aa.e.n na de
Asad Bijnori Alig
Sher
bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man
baaqii sab jazbaat kaa iz.haar kam kar diijiye
Farhat Ehsas
Sher
Munawwar Rana
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
ham bhii ai jaan-e-man itne to nahii.n naakaara
kabhii kuchh kaam tuu ham ko bhii to farmaayaa kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gar bas chale to aap phiruu.n apne gard mai.n
ka.abe ko jaa ke kaun ho ai jaan-e-man KHaraab
Ahmad Husain Mail
Sher
Ain Tabish
Sher
KHirad kii rah jo chalaa mai.n to dil ne mujh se kahaa
aziiz-e-man ''ba-salaamat-ravii o baaz-aa.ii''
Abdul Ahad Saaz
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii