SEARCH RESULTS
Showing search results for "ibaadaat"
Sher MATCHES FOR "ibaadaat"
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
rahtaa hai ibaadat me.n hame.n maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-KHudaa karte hai.n, kar le na KHudaa yaad
Akbar Allahabadi
Sher
saudaa-garii nahii.n ye ibaadat KHudaa kii hai
ai be-KHabar jazaa kii tamannaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
Zehra Nigaah
Sher
mai.n to masjid se chalaa thaa kisii ka.aba kii taraf
dukh to ye hai ki ibaadat mirii bad-naam hu.ii
Ahmad Rahi
Sher
yahii hai ibaadat yahii diin o iimaa.n
ki kaam aa.e duniyaa me.n insaa.n ke insaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
ashk agar sab ne likhe mai.n ne sitaare likkhe
aajizii sab ne likhii mai.n ne ibaadat likkhaa
Azm Bahzad
Sher
mujhe to un kii ibaadat pe rahm aataa hai
jabii.n ke saath jo sajde me.n dil jhukaa na sake
Khumar Barabankavi
Sher
har ek sajde me.n dil ko tiraa KHayaal aayaa
ye ik gunaah ibaadat me.n baar baar hu.aa
Aleena Itrat
Sher
ayaadat hotii jaatii hai ibaadat hotii jaatii hai
mire marne kii dekho sab ko aadat hotii jaatii hai
Meena Kumari Naz
Sher
KHauf-e-dozaKH se kabhii KHvaahish-e-jannat se kabhii
mujh ko is tarz-e-ibaadat pe ha.nsii aatii hai
Unknown
Sher
ye imtiyaaz zaruurii hai ab ibaadat me.n
vahii du.aa jo nazar kar rahii hai lab bhii kare.n
Abhishek Shukla
Sher
farz barso.n kii ibaadat kaa adaa ho jaise
but ko yuu.n puuj rahe hai.n ki KHudaa ho jaise