SEARCH RESULTS
Showing search results for "ibliisii"
Sher MATCHES FOR "ibliisii"
Sher
gurez-paa hai nayaa raasta kidhar jaa.e.n
chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaa.e.n
Jamal Owaisi
Sher
us ajnabii se haath milaane ke vaaste
mahfil me.n sab se haath milaanaa pa.Daa mujhe
Hasan Abbasi
Sher
KHud-kushii qatl-e-anaa tark-e-tamannaa bairaag
zindagii tere nazar aane lage hal kitne
Rafia Shabnam Abidi
Sher
hasiin yaado.n ke chaa.nd ko alvidaa.a kah kar
mai.n apne ghar ke a.ndhere kamro.n me.n lauT aayaa
Hasan Abbasi
Sher
dil kii dahliiz pe jab shaam kaa saaya utraa
ufuq-e-dard se siine me.n ujaalaa utraa
Hasan Abidi
Sher
taa-qayaamat zikr se raushan rahegii ye zamii.n
zulmato.n kii shaam me.n ik raushnii hai karbalaa
Nuzhat Abbasi
Sher
KHudaa ke naam pe jis tarah log mar rahe hai.n
du.aa karo ki akelaa KHudaa na rah jaa.e
Tasneem Abidi
Sher
aaj bhii 'prem' ke aur 'krishn' ke afsaane hai.n
aaj bhii vaqt kii jamhuurii zabaa.n hai urdu
Ata Abidi
Sher
Hasan Abbasi
Sher
mujh ko ma.aluum thaa ik roz chalaa jaa.egaa!
vo mirii umr ko yaado.n ke havaale kar ke
Hasan Abbasi
Sher
tanhaa.ii milii mujh ko zaruurat se ziyaada
pa.Dhtii hai.n kitaabe.n mujhe vahshat se ziyaada
Jamal Owaisi
Sher
sab ummiide.n mire aashob-e-tamannaa tak thii.n
bastiyaa.n ho ga.ii.n Garqaab to dariyaa utraa